Aap Shamsudduha Aap Badrudduja Naat Lyrics

aap shamsudduha, aap badrudduja naam aisa suhaana kisi ka nahi.n kaa'be ki chhaanw hai, noor ka gaanw hai aisa pyaara gharaana kisi ka nahi.n

 Aap Shamsudduha Aap Badrudduja HINDI Naat Lyrics 

आप शम्सुद्दुहा, आप बदरुद्दुजा

नाम ऐसा सुहाना किसी का नहीं

का'बे की छाँव है, नूर का गाँव है

ऐसा प्यारा घराना किसी का नहीं


जब कि आदम न थे, उन का पुतला न था

और फ़रिश्तों ने भी ऐसा सोचा न था

राज़-ए-हुस्न-ए-नबी पर था पर्दा पड़ा

या'नी अल्लाह ने कुछ बताया न था

'अर्श पर आप का नूर था जल्वा-गर

नाम इतना पुराना किसी का नहीं


ज़िक्र-ए-'ईसा भी है, ज़िक्र-ए-मूसा भी है

नूह भी आए हैं, शीश भी आए हैं

और नबियों के भी तज़्किरे हैं यहाँ

परचम-ए-नूर इन के भी लहराए हैं

देखिये मर्तबा, मुस्तफ़ा के सिवा

'अर्श पर आना-जाना किसी का नहीं


रेत की आग पर तन जलाया गया

फिर भी छूटा नहीं दामन-ए-मुस्तफ़ा

कोई शिकवा-शिकायत न कोई गिला

ग़म मिला जो भी दुनिया में वो सह लिया

जैसे नाम-ए-बिलाल और 'इश्क़-ए-नबी

ऐसा कोई दीवाना किसी का नहीं


नूर ही नूर है मय-कदा आप का

सब से मशहूर है मय-कदा आप का

रौशनी से भरे हैं पियाले सभी

जल्वा-ए-तूर है मय-कदा आप का

आब-ए-ज़मज़म भी है, जाम-ए-कौसर भी है

ऐसा पीना पिलाना किसी का नहीं



ना'त-ख़्वाँ:

ज़ैन-उल-आबिदीन कानपुरी



Aap Shamsudduha Aap Badrudduja ENGLISH Naat Lyrics 


aap shamsudduha, aap badrudduja

naam aisa suhaana kisi ka nahi.n

kaa'be ki chhaanw hai, noor ka gaanw hai

aisa pyaara gharaana kisi ka nahi.n


jab ki aadam na the, un ka putla na tha

aur farishto.n ne bhi aisa socha na tha

raaz-e-husn-e-nabi par tha parda pa.Da

yaa'ni allah ne kuchh bataaya na tha

'arsh par aap ka noor tha jalwa-gar

naam itna puraana kisi ka nahi.n


zikr-e-'isa bhi hai, zikr-e-moosa bhi hai

nooh bhi aae hai.n, sheesh bhi aae hai.n

aur nabiyo.n ke bhi tazkire hai.n yahaa.n

parcham-e-noor in ke bhi lehraae hai.n

dekhiye martaba, mustafa ke siwa

'arsh par aana-jaana kisi ka nahi.n


ret ki aag par tan jalaaya gaya

phir bhi chhooTa nahi.n daaman-e-mustafa

koi shikwa-shikaayat na koi gila

Gam mila jo bhi duniya me.n wo seh liya

jaise naam-e-bilaal aur 'ishq-e-nabi

aisa koi deewaana kisi ka nahi.n


noor hi noor hai mai-kada aap ka

sab se mash.hoor hai mai-kada aap ka

raushni se bhare hai.n piyaale sabhi

jalwa-e-toor hai mai-kada aap ka

aab-e-zamzam bhi hai, jaam-e-kausar bhi hai

aisa peena pilaana kisi ka nahi.n


Post a Comment

© NAAT LYRICS. All rights reserved. Distributed by Finroz